sochein, kitni gahri hoti hain
ek anant mahasagar ki tarah,
jiske tal ka nahi hai anuman,
anant, vishal ichhaao ko samete
vichran karti rehti hain,
har pal badalti rehti hain
ek anant mahasagar ki tarah,
jiske tal ka nahi hai anuman,
anant, vishal ichhaao ko samete
vichran karti rehti hain,
har pal badalti rehti hain
sochein, kitni gehri hoti hain,
ek pal yahan ek pal wahaan
bhagti hi rehti hain,
ek pal yahan ek pal wahaan
bhagti hi rehti hain,
nahi mila abhi tak koi thaur inhe
har kone mein simat jaati hain,
inke changul se bacha na koi
har insaan ko yeh sataati hain,
sochein, kitni gehri hoti hain,
maan manuhaar chhipa hai in mein
irshya krodh ki jagah bani hai,
tera-mera iske sangi-saathi
bhey-apmaan se grasit hain ye,
kyun insaan ko rulaati hain
kabhi khush kar jaati hain,
par fir bhi soch-sochkar hi
zindagi bitani padti hai
sochein, kitni gehri hoti hain!
No comments:
Post a Comment